Main Rahoon Ya Na Rahoon - Armaan Malik Lyrics,Main Rahoon Ya Na Rahoon Song English Lyrics

Main Rahoon Ya Na Rahoon Lyrics

Armaan Malik
Indian Pop
1 Translations available

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujh mein kahin baaki rehna
Mujhe neend aaye jo aakhiri
Tum khwabon mein aate rehna
Bas itna hai tumse kehna

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujhme kahin baaki rehna
Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon
Aa a

Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon

Kuch kahun ya na kahun
Tum mujhko sada sunte rehna
Bas itna hai tumse kehna

Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe
Aa a

Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe

Main dikhu ya na dikhu
Tum mujhko mehsoos karna
Bas itna hai tumse kehna
Hmm.
Bas itna hai tumse kehna
Main rahun ya na rahun
Tum mujh mein kahin baaki rehna

Main Rahoon Ya Na Rahoon - Armaan Malik Lyrics,Main Rahoon Ya Na Rahoon Song English Lyrics